AirForce Group X Complete Syllabus and Mock Test

Iss se pehle ki hum Group X ke syllabus ko discuss karein uss se pehle kucch instructions hai jo har candidate ko samajhna zaroori hai.

Phase I
---------------------------------------------------------------------------------
1. Iss baar computer par online exam hoga. abhi tak aisa nahi tha abhi tak aapko pen pencil milti thi aur questions padhke aapko unke answers par gole ko kaala karna padta tha. abki bar aapko computer par exam dena hoga aur ha unn baccho ko tension lene ki zaroorat nahi hai jinhone computer abhi tak chalaya tak nahi kyuki paper start hone se 15-20 minute pehle wo apko computer par baitha denge aur aap mouse par apna haath set kar sakte ho. paper start hone ke baad exam room mein apki help ke liye kucch teachers ho sakte hai jo apki help karenge isliye padhai par focus karein baaki sab ho jaayega. Online exam ka tarika bilkul easy hota hai tension na le. JAISE ISS PHOTO MEIN DIKHAYA HAI ABB SE AISE EXAMS NAHI HOGA.

 2. aapne form apply karte waqt jo email id daali thi usse open karke ya yahaan 👉 click karke apna admit card nikal sakte hai. (ye website phone mein nahi khulne ki aur agar pc pe open kar rahe ho to bas google chrome browser pe he khulegi). dhyan rahe admit card color he print out karaana. kyuki airforce hamesha color admit card he maangti hai. pareshaani se bachne ke liye colour print out ke saath jo instruction diye hai admit card par wo dhyan se padhein aur follow karein.

3. English aur Hindi dono language mein paper aayenge. Objective type questions honge ek question ke 4 answers jaise image mein diya gaya hai bas iss baar ye options aur question aapke paper par nahi computer ki screen par honge. sahi answer par click karke save and next par click karna hoga jis jis question ka aap answer dete rahoge wo question aapko right side mein screen ki show hoga.
aur uss par green mark bann jaayega.
agar aap kisi question ka answer nahi dete ho to wahaan red mark bann jaayega ye sab automatic hoga.

Side mein aapka countdown time chalta rahega jispe aap dekh sakte ho ki aapke paas kitna time bacha hai paper karne ke liye aur jab time khatam ho jayega to apke saare kiye huye questions apne aap automatically save ho jaayenge apko kucch karne ki zaroorat nahi hai.
Time khatam hone par computer automatic apka record sare questions ko calculate karke aapko batayega ki kitne questions aapke kiye aur kitne nahi kiye. chacho to wo number note kar sakte ho.

4. Online exam ke liye aapko ek ball pen blue ya black aur ek valid id proof (aadhaar card, driving license, voter card, school id etc original aur unki photo copy) le jaana hoga.

5. 60 Minutes ka time milega paper complete karne ke liye jisme Physics, Mathematics, English 12th tak ki books (CBSE) se bahar nahi aayenge. 

6. group y mein 45 minutes ke timing mein aapko english, reasoning and general awareness ko cover karna padega. 12th CBSE pattern examinaton.

7. agar aapne X aur Y dono ke liye apply kiya hai to 85 minutes ka aapka exam hoga jisme English, Physics, Mathematics aur Reasoning & General Awareness sabhi mix hoke aayenge.

exact timing of online examinations
Group X = 60  Minutes
Group Y = 45 Minutes
Group X & Y  = 85 Minutes


The Exam will be conducted in 3 phases:
·         Phase – 1. paper is objective test in different trades.
·         Phase – 2. test is based on your Physical Fitness Ability.

·         Phase – 3. is Medical Examination.

8. online exam ke 15 din ke andar apka result www.airmenselection.cdac.in par upload kiya jayega.

Complete Syllabus of Group X

ENGLISH

I. Comprehension

A small passage followed by questions.
1. To judge comprehension
2. Drawing of inferences
3. Use of vocabulary

II Composition

1. Agreement of subject with verb
2. Pattern of verb and their use.
3. Sequence of tenses.
4. Transformation of sequences-Compound, Complex, Simple, Negative, Affirmative.

III Grammar

1. Spellings
2. Word formation
3. Antonyms and Synonyms
4. One word substitution
5. Correct usage of articles
6. Correct usage of Prepositions
7. Correct usage of adjectives-degrees of comparison
8. Correct usage of conjunctions
9. Correct usage of Nouns and Pronouns
10. Correct usage of numbers (Singular-Plural)
11. Words, which are commonly getting confused
12. Word order
13. Correct usage of Adverbs

IV. Idioms and

1. Use of simple idioms
2. Use of Common proverbs

V. Direct / Indirect sentences : Narration change

1. Change of various types of sentences from direct to indirect form
2. Change of various types of sentences from indirect to direct form

VI. Active and Passive Voices
1. Change of all types of sentences from active to passive form
2. Change of all types of sentences from passive to active form
PHYSICS

1. Physical World & Measurement
2. Kinematics
3. Laws of Motion
4. Work, Energy & Power
5. Motion of System of particles & Rigid Body
6. Gravitation
7. Properties of Bulk Matter
8. Thermodynamics
9. Behaviour of Perfect Gas & Kinetic Theory of gases
10. Oscillations & Waves
11. Electrostatics
12. Current Electricity
13. Magnetic effect of current & Magnetism
14. Electromagnetic Induction and Alternating current
15. Electromagnetic Waves
16. Optics
17. Dual Nature of Matter
18. Atoms and Nuclei
19. Electronic Devices
20. Communication Systems

MATHEMATICS

1. Sets, Relations, functions
2. Trigonometric functions
3. Inverse Trigonometric functions
4. Complex Numbers
5. Quadratic Equations
6. Sequence & Series (AP & GP)
7. Permutation
8. Combination
9. Binomial Theorem
10. Coordinate geometry – Straight line
11. Coordinate geometry – Circles
12. Coordinate geometry – Parabola
13. Coordinate geometry – Ellipse
14. Coordinate geometry – Hyperbola
15. Exponential Series
16. Logarithmic Series
17. Matrices
18. Determinants
19. Limit & Continuity
20. Differentiation
21. Application of Differentiation
22. Indefinite Integrals
23. Definite Integrals
24. Application of Integration
25. Deferential Equations
26. Probability
27. Statistics

AirForce ki kitni tayyari huii hai janne ke liye click karein aur free test de
👇👇👇
https://airmenselection.cdac.in/CASB/STARMock/index.html


Group Y ke syllabus ke liye Click Here

Group XY ke syllabus ke liye Click Here

1 comment: